Masood Maikash Muradabadi

hujum-e-be-KHudi mein gham ki taswiren nazar aain

Masood Maikash Muradabadi

hujūm-e-be-ḳhudī meñ ġham kī tasvīreñ nazar aa.iiñ
mujhe shīshe meñ jab rindoñ kī taqdīreñ nazar aa.iiñ
mire zehn-e-rasā ne jazb kar liiñ hausla pā kar
ruḳh-e-gul par mashiyyat kī jo tahrīreñ nazar aa.iiñ
dar-e-zindāñ se chhuT kar bhī vahī hai silsila ya.anī
ki ik zanjīr TuuTī laakh zanjīreñ nazar aa.iiñ
chaman vaale jinheñ jān-e-chaman kahte the vo kaliyāñ
mujhe to dāġh-hā-e-dil kī tasvīreñ nazar aa.iiñ
na jaane kitne parde darmiyāñ haa.il rahe lekin
shab-e-va.ada tasavvur meñ vo tanvīreñ nazar aa.iiñ
vahīñ par himmat-e-insāniyat ne saañs toḌā hai
jahāñ taqdīr se mar.ūb tadbīreñ nazar aa.iiñ
koī afsāna samjhe yā bayān-e-vāqi.a samjhe
mujhe ik ḳhvāb-e-nādīda kī ta.abīreñ nazar aa.iiñ
vo insāñ ḳhud-shanāsā-e-rumūz-e-dil nahīñ 'maikash'
ki jis ko zarf-e-rindāna meñ taqsīreñ nazar aa.iiñ
Top Urdushayar.com