kyā hai mere dil kī hālat vāqa.ī kaise kahūñ
kyuuñ hai merī aañkh meñ itnī namī kaise kahūñ
merī ik ik saañs pe haq hai mire allāh kā
maiñ bhalā is zindagī ko aap kī kaise kahūñ
kaun hai merā muḳhālif kis ne kī hai muḳhbirī
jāntā huuñ maiñ batā.ūñgā abhī kaise kahūñ
shā.erī to vārdāt-e-qalb kī rūdād hai
qāfiya-paimā.ī ko maiñ shā.erī kaise kahūñ
ye jo mere ghar ke jalne se huī hai chār-sū
log kahte haiñ kaheñ maiñ raushnī kaise kahūñ
sāmne aayā to 'nāzim' us ne pahchānā nahīñ
facebōk kī dostī ko dostī kaise kahūñ