sunā dī kis ne rūdād-e-ġham-e-dil kohsāroñ ko
maiñ akasr sochtā huuñ dekh kar in ābshāroñ ko
ga.e mausam kā ik piilā sā pattā shāḳh par rah kar
na jaane kyā batānā chāhtā hai in bahāroñ ko
chale aao na rokegā ġhubār-e-rāh ab tum ko
ki pur-nam kar diyā ashkoñ se maiñ ne rahguzāroñ ko
samajh paa.e haiñ in ko aur na samjheñge ḳhirad vaale
dil-e-āshiq samajh letā hai jin mub.ham ishāroñ ko
ḳhabar-nāme kī surḳhī meñ unhīñ kā zikr thā 'nāzim'
batā.e the jo maiñ ne raaz apne rāz-dāroñ ko