Haidar Ali Jafri

na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha

Haidar Ali Jafri

na sar chhupāne ko ghar thā na āb-o-dāna thā
zamāne bhar kī nigāhoñ kā maiñ nishāna thā
bhulā na paayā use jis ko bhuul jaanā thā
vafāoñ se mirā rishta bahut purānā thā
jo aks-e-ġhair kī tābish meñ DhūñDtā thā jilā
us ā.īne ko bikharnā thā TuuT jaanā thā
darīche maazī ke khulne lage to yaad aayā
yahīñ kahīñ kisī Daalī pe āshiyāna thā
sile meñ kyā mujhe miltā jo aur ruk jaatā
tire ḳhutūt ko ik roz to jalānā thā
jahāñ pe tā.ir-e-fikr-e-suḳhan ke par silte
vahīñ pe aql-o-ḳhirad kā nayā Thikānā thā
lahū kā rañg chaTānoñ ke ābshāroñ meñ
unheñ nasheb meñ dariyā-e-ḳhūñ bahānā thā
qabā-e-surḳh siyah bādaloñ ne oḌhī thī
kisī ke jurm se parda unheñ uThānā thā
vo ek halke tabassum kī kaaT sah na sakā
sitam kā vaar bhī kis darja buzdilāna thā
tamām shorisheñ saffākiyāñ uruuj pe thiiñ
bil-āḳhir un ko adālat se chhūT jaanā thā
dukāñ lagā.e huuñ TuuTe hue khilaune kī
ki bhūltā nahīñ bachpan bhī kyā zamāna thā
Top Urdushayar.com