hotā fankār-e-jadīd aur na shā.er hotā
laġhv be-bahr ḳhayālāt kā maz.har hotā
aur baḌh jaatī jo ib.hām kī nudrat mujh meñ
ahd-e-nau ke kisī firqe kā payambar hotā
kuchh to miltā mujhe dushnām-tarāzī hī sahī
ḳhuub hotā jo maiñ dushman ke barābar hotā
kaahe ko dasht meñ chubhne ke liye rah jaatā
phuul hotā kisī gulshan kā gul-e-tar hotā
mujh pe bhī tesha-e-ulfat kī ināyat hotī
kaash ke maiñ bhī kisī koh kā patthar hotā
yuuñ tarāshe haiñ sanam kufr ke is duniyā ne
but-shikan hotā jo is daur meñ 'āzar' hotā
khīñch detā maiñ zamāne pe mohabbat ke nuqūsh
mere qabze meñ agar ḳhāma-e-shahpar hotā
apnī ḳhalīq kā mafhūm samajh paatā agar
dā.era hotā jahāñ aur maiñ mehvar hotā
log mujh ko bhī shahīd-e-ġham-e-daurāñ kahte
neza-e-vaqt pe goyā jo mirā sar hotā
dasht kī āb-o-havā ne diyā kāñToñ kā libās
maiñ bahāroñ meñ jo paltā gul-e-ahmar hotā
ḳhuun mazdūr kā miltā jo na ta.amīroñ meñ
na havelī na mahal aur na koī ghar hotā
tishna-lab koī bhī duniyā meñ nahīñ rah paatā
merī ā.ankhoñ ke jo qabze meñ samundar hotā