Haidar Ali Jafri

irtikab-e-jurm shar ki baat hai

Haidar Ali Jafri

irtikāb-e-jurm shar kī baat hai
aur barī honā hunar kī baat hai
ik kahānī hai ki sadiyoñ par muhīt
sochne meñ dopahar kī baat hai
aa.e Thahre aur ravāna ho ga.e
zindagī kyā hai, safar kī baat hai
ek sho.ala sā lapak kar rah gayā
ye hayāt-e-muḳhtasar kī baat hai
nāsehā gar ho sake manzil pe mil
zindagī to rah-guzar kī baat hai
shādī-o-ġham par kareñ kyā tabsira
tere mere sab ke ghar kī baat hai
rāste to haiñ magar manzil nahīñ
kyā hamāre rāhbar kī baat hai
ab to dūkānoñ pe biktī hai vafā
dosto ifrāt-e-zar kī baat hai
bāl-o-par hote to kyuuñ hote asiir
qaid meñ kyuuñ bāl-o-par kī baat hai
mutma.in koī nahīñ hālāt se
shaam ke lab par sahar kī baat hai
har qavī ko hai vahāñ jaane kā haq
dasht kī aur bahr-o-bar kī baat hai
murdanī zaa.il ho yā baaqī rahe
ye tire husn-e-nazar kī baat hai
Top Urdushayar.com