matā-e-dard kā ḳhūgar mirī talāsh meñ hai
kisī kā bhejā payambar mirī talāsh meñ hai
huuñ maiñ hī nuqta-e-āġhāz iḳhtitām-e-hisār
har ik hisār kā mehvar mirī talāsh meñ hai
milī hai auj ḳhudī ko yaqīn-e-mohkam se
sunā hai marzī-e-dāvar mirī talāsh meñ hai
vo ek sa.ī jise kahte haiñ ham sabhī idrāk
vo mere jism ke andar mirī talāsh meñ hai
sabhī to dost haiñ kyuuñ shak abas huā mujh ko
kisī ke haath kā patthar mirī talāsh meñ hai
mire ḳhudā maiñ huuñ tujh se panāh kā tālib
mire gunāhoñ kā lashkar mirī talāsh meñ hai
mire hī lams se ġhunchoñ ne paa.ī shādābī
chaman meñ khiltā gul-e-tar mirī talāsh meñ hai
kahīñ se sun liyā hai merī pyaas kā charchā
tabhī se pyāsā samundar mirī talāsh meñ hai
lagā hai sochne ahd-e-ravāñ kā 'marhab' bhī
bachūñgā kis tarah 'haidar' mirī talāsh meñ hai