asr-e-jadēd aayā baḌī dhūm-dhām se
lekin shikast khā gayā pichhle nizām se
kartā hai koī tark-e-ta.alluq bhī is tarah
mahrūm ho gayā huuñ payām-o-salām se
zardār ke salām meñ sabqat sabhī kī hai
mahrūm muflisī hai jawab-e-salām se
kis kī sadā fazāoñ meñ gūñjī hai chār-sū
kis ne mujhe pukārā hai bachpan ke naam se
bechainiyoñ meñ raat guzartī hai is tarah
aaseb koī gher le jaise ki shaam se
ab bā-shu.ūr log bhī ye sochne lage
rakhnā hai ham ko kaam faqat apne kaam se
saffākiyāñ baḌhīñ to darinda-sifat banā
insān girā hai ādamiyyat ke maqām se
bārish nahīñ huī to mujhe fā.eda huā
mahfūz hai makān mirā inhidām se
halkī hañsī ne fikr ko zau-bār kar diyā
phūTī kiran ki tarah lab-e-tashna-kām se
ye to hai fazl-e-rab ki tarannum huā nasīb
lekin bayāz ḳhālī hai ḳhud ke kalām se