āñkhoñ meñ agar aap kī sūrat nahīñ hotī
is dil meñ mohabbat kisī sūrat nahīñ hotī
jab tak pas-e-parda vo chhupe baiThe raheñge
kuchh bhī yahāñ ho jaa.e qayāmat nahīñ hotī
dekhe jo tujhe log to samjhe mire ash.ār
lafzoñ se to sheroñ kī vazāhat nahīñ hotī
kyā aur koī kaam kare chhoḌiye sāhab
bekārī se duniyā meñ farāġhat nahīñ hotī
shahroñ ke tasavvur se bhī ghabrāne lagā dil
sahrā meñ chale jaao to vahshat nahīñ hotī
us umr meñ baḌh jaate haiñ mehnat ke taqāze
jis umr meñ insān se mehnat nahīñ hotī
hotī thī har ek baat pe hairat mujhe pahle
ab mujh ko kisī baat pe hairat nahīñ hotī
barbād 'abad' ham ko muravvat ne kiyā hai
sab hotā jo āñkhoñ meñ muravvat nahīñ hotī