kyā ajab fart-e-ḳhushī se hai jo giryāñ aadmī
kasrat-e-ġham meñ nazar aatā hai ḳhandāñ aadmī
qatra-e-be-māya lekin bahr-e-nā-paidā-kanār
zarra-e-nāchīz vus.at meñ bayābāñ aadmī
pur-sukūñ hālāt meñ ḳhāmosh sāhil kī tarah
shorish-e-jazbāt meñ mānind-e-tūfāñ aadmī
is kī vahshat kā mudāvā kar nahīñ saktā koī
ḳhud agar chāhe to ban saktā hai insāñ aadmī
ādamiyat agle vaqtoñ meñ thī ik anmol shai
aaj ke hālāt meñ hai jins-e-arzāñ aadmī
zindagī kī saḳht rāhoñ kā safar darpesh hai
kārvāñ-dar-kārvāñ hai pā-ba-jaulāñ aadmī
apne zaḳhmoñ kā mudāvā ġhair mumkin to nahīñ
ai 'hazīñ' saare dukhoñ kā ḳhud hai darmāñ aadmī