barpā haiñ ajab shorisheñ jazbāt ke pīchhe
be-tāb hai dil shauq-e-mulāqāt ke pīchhe
jin ko na samajh paa.e ham arbāb-e-nazar bhī
sau raaz haiñ us shoḳh kī har baat ke pīchhe
is Thos haqīqat se ta.arruz nahīñ mumkin
ik sub.h-e-tajallī hai har ik raat ke pīchhe
arbāb-e-vatan ham ko zarā ye to batā.eñ
kin zehnoñ kī sāzish hai fasādāt ke pīchhe
manzar hai lahū-rañg sulagtī haiñ fazā.eñ
sho.aloñ kā vo sailāb hai barsāt ke pīchhe
ham un ko samajhte haiñ 'hazīñ' kah nahīñ sakte
asbāb jo haiñ talḳhī-e-hālāt ke pīchhe