hazāroñ ġham haiñ lekin bār-e-ġham dil par na rakkhūñgā
ye nāzuk ābgīna us pe maiñ patthar na rakkhūñgā
vo mausam vo fazā vo sā.ateñ tere bichhaḌne kī
maiñ apne zehn meñ maazī ke pas-manzar na rakkhūñgā
koī maskan na hogā ab mirī be-ḳhvāb rātoñ kā
maiñ apne dushmanoñ ke beach apnā ghar na rakkhūñgā
chalūñgā saath apne kārvān-e-sarḳhushī le kar
jilau meñ ab ġham-e-andoh kā lashkar na rakkhūñgā
mirā kyā hai mujhe kāñToñ pe so lene kī aadat hai
masāf-e-zindagī meñ bālish-o-bistar na rakkhūñgā
bahut mohtāt rahne par bhī akasr bhiig jaatā hai
maiñ koshish laakh kartā huuñ ki dāman tar na rakkhūñgā
bajā hai ai 'hazīñ' mujrim huuñ nā-karda gunāhī kā
magar ilzām jiine kā maiñ apne sar na rakkhūñgā