Rahi Quraishi

pahchan kam hui na shanasai kam hui

Rahi Quraishi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1934
pahchān kam huī na shanāsā.ī kam huī
baaqī hai zaḳhm zaḳhm kī gahrā.ī kam huī
sulgā huā hai ziist kā sahrā ufuq ufuq
chehroñ kī dilkashī ga.ī zebā.ī kam huī
duurī kā dasht jis ke liye sāzgār thā
āñgan meñ qurb ke vo shanāsā.ī kam huī
ab shahr shahr aam hai goyā.ī kā sukūt
jab se lab-e-sukūt kī goyā.ī kam huī
kuchh ho na ho ḳhamoshī-e-ā.īna se magar
parchhā.iyoñ kī ma.arka-ārā.ī kam huī
har rañg zindagī hai tah-e-gard-o-rozgār
tasvīr kī vo raunaq-o-ra.anā.ī kam huī
ik ajnabī dayār meñ guzre haiñ din magar
ye kam nahīñ ḳhulūs kī rusvā.ī kam huī
'rāhī' rafāqatoñ kā ye anjām dekh kar
saa.e ke saath apnī shanāsā.ī kam huī
Top Urdushayar.com