Rahi Quraishi

lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke

Rahi Quraishi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1934
lahū āñkhoñ meñ raushan hai ye manzar dekhnā ab ke
dayār-e-ġham meñ kyā guzrī hai ham par dekhnā ab ke
añdherā hai vahī lekin rivāyat vo nahīñ baaqī
charāġhoñ kī jagah hāthoñ meñ ḳhanjar dekhnā ab ke
sulagte ghar kī chiñgārī bhī badla lene vaalī hai
ye manzar dekhnā lekin sambhal kar dekhnā ab ke
shikast-o-fat.h kī tārīḳh likkhī jā.egī yuuñ bhī
tahī-dastī se hogā ma.arka sar dekhnā ab ke
shanāsā.ī ke saa.e baḌh ga.e sahn-e-rifāqat meñ
hamārī pusht meñ paivast ḳhanjar dekhnā ab ke
zamīñ ko phir lahū baḳhshā gayā hai be-gunāhoñ kā
sitam ke har shajar ko phir samar-var dekhnā ab ke
sukūt-e-shab meñ āñkheñ band hoñgī jab darīchoñ kī
koī saaya nazar aa.egā dar dar dekhnā ab ke
chhalakne vaalī hai ye chashm-e-vīrāñ ek din 'rāhī'
sulagte dasht meñ koī samundar dekhnā ab ke
Top Urdushayar.com