tavajjoh un kī kyā kam ho ga.ī hai
balā-e-jāñ shab-e-ġham ho ga.ī hai
ḳhirad kā nuur kyā phailā jahāñ meñ
diloñ kī raushnī kam ho ga.ī hai
rahī hogī kabhī jannat ye duniyā
magar ab to jahannam ho ga.ī hai
atom-zādoñ ye me.arāj-e-taraqqī
harīf-e-ibn-e-ādam ho ga.ī hai
shikast-e-ḳhvāb tanzīm-e-gulistāñ
dalīl-e-azm-e-mohkam ho ga.ī hai
ḳhazaf kā mol jab se baḌh gayā hai
sadaf kī aabrū kam ho ga.ī hai
kabhī vaqf-e-tarab thī zindagānī
magar ab sirf mātam ho ga.ī hai