Jaleel Sherkoti

wafa-kesh-o-wafa-na-ashna kya

Jaleel Sherkoti

Sherkot, Uttar pradesh, India

vafā-kesh-o-vafā-nā-āshnā kyā
mohabbat meñ balāoñ kā gila kyā
yahī do ek naġhme vo bhī be-saut
shikasta-sāz huuñ merī sadā kyā
na dekheñ vo hamāre dil kī mayyat
dil-e-marhūm kā ab ḳhūñ-bahā kyā
adāvat bijliyoñ kī mol le lī
chaman meñ do-ghaḌī ko maiñ hañsā kyā
ye aql-o-āgahī ke ḳhaam da.ave
kabhī sochā bhī ye tū ne ki thā kyā
faqat ik zer-e-lab mub.ham tabassum
hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā
vafā.eñ ain īmān-e-mohabbat
mohabbat meñ vafāoñ kā sila kyā
shanāvar ke liye girdāb sāhil
ġham-e-be-chārgī-e-nāḳhudā kyā
tirā partav hai jis ko husn kah deñ
muqābil ho tire hai dūsrā kyā
mohabbat kī ye vo manzil hai jis meñ
davā-e-dard-o-dard-e-lā-davā kyā
zamāne-bhar ne nazreñ pher lī haiñ
hue ho tum bas ik ham se ḳhafā kyā
mujhe saarī ḳhudā.ī mil ga.ī hai
diyā hai tum ne dard-e-lā-davā kyā
jo sar-mastī hai in āñkhoñ meñ pinhāñ
'jalīl' is duḳht-e-raz meñ vo mazā kyā
Top Urdushayar.com