chhuT ga.iiñ nabzeñ rukī sāñseñ nazar pathrā ga.ī
maut kyuuñ kahiye use bīmār ko niiñd aa ga.ī
dar-haqīqat aap the yā aap kā aks-e-jamīl
vāqa.ī merī nazar kyā aaj dhokā khā ga.ī
maiñ ne chāhā thā ki phūloñ se basā luuñ pairahan
bū-e-gul bhī mere dāman se magar katrā ga.ī
ham ko tark-e-ārzū kā aaj ye hāsil milā
aarzū kā naam le kar aarzū sharmā ga.ī
baj uThā sāz-e-tarab aur jal uThe dil ke charāġh
ittifāqan bhī agar un se nazar Takrā ga.ī
ban ga.ī vaj.h-e-faroġh-e-anjuman sham-e-hayāt
zindagī thī aap kī aur aap ke kaam aa ga.ī
us nigāh-e-multafit kā mujh se phirnā thā 'jalīl'
ārzūoñ ke gulistāñ meñ ḳhizāñ sī chhā ga.ī