Jaleel Sherkoti

hawadisat ke mare saubaton mein pale

Jaleel Sherkoti

Sherkot, Uttar pradesh, India

havādisāt ke maare sa.ūbatoñ meñ pale
nigāh-e-garm se tarsāñ hoñ bijliyoñ ke jale
vo but-kada thā jahāñ sar jhuke charāġh jale
ye mai-kada hai yahāñ ḳham uThe sharāb chale
ye raqs-e-anjum-o-mahtāb ye samāñ ye sukūñ
ye daur-e-mai abhī kuchh aur thoḌī der chale
jo apne aap hī meñ karda-rāh-e-manzil the
rah-e-hayāt meñ kuchh aise rahnumā bhī mile
bisāt-e-anjum-o-mah ho ki mai-kade kā ḳharosh
ye bazm rañg pe aatī hai apnī raat Dhale
ziyā vo dī hai mire dāġh-hā-e-dil ne ki bas
charāġh-e-bazm-e-tamannā na ek raat jale
jo apnī qaum kī kashtī ki ḳhud Dubo Daale
ham aise rāhbar-e-qaum ke baġhair bhale
isī tazād meñ muzmar hai zindagī kā fusūñ
kahīñ charāġh bujhe aur kahīñ charāġh jale
ḳhudā bachā.e bas us mīr-e-kārvāñ se 'jalīl'
jo kaaT letā ho ḳhud ahl-e-kārvāñ ke gale
Top Urdushayar.com