har zarra ubhar ke kah rahā hai
aa dekh idhar yahāñ ḳhudā hai
is charḳh ko piis Dāltā maiñ
afsos ki yaar be-vafā hai
martā tirī kaj-adā.iyoñ par
lekin vo ḳhumār utar gayā hai
maiñ mehr-o-vafā kī intihā huuñ
tū jaur-o-jafā kī intihā hai
ushshāq kī ruuh kāñptī hai
jab aa.ina koī dekhtā hai
ye kufr-navāzī-e-'tabassum'
kāfir kisī but pe mubtalā hai