ilāj-e-dard-e-dil-e-sogvār ho na sakā
vo ġham-navāz rahā ġham-gusār ho na sakā
bahut dikhā.e nigah ne tilism-e-rañgīnī
ḳhizāñ pe mujh ko gumān-e-bahār ho na sakā
junūñ ne laakh kiyā chaak jeb-o-dāmāñ ko
ye rāz-e-ishq magar āshkār ho na sakā
atā kiyā jise tū ne ġham-e-mohabbat-e-dost
vo dil asīr-e-ġham-e-rozgār ho na sakā
vo mujh pe lutf-e-mukarrar ke muntazir hī sahī
ye zikr mujh se magar baar baar ho na sakā