Sufi Tabassum

is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
is ālam-e-vīrāñ meñ kyā anjuman-ārā.ī
do roz kī mahfil hai ik umr kī tanhā.ī
phailī haiñ fazāoñ meñ is tarah tirī yādeñ
jis samt nazar uTThī āvāz tirī aa.ī
ik naaz bhare dil meñ ye ishq kā hañgāma
ik gosha-e-ḳhalvat meñ ye dasht kī pahnā.ī
auroñ kī mohabbat ke dohrā.e haiñ afsāne
baat apnī mohabbat kī hoñToñ pe nahīñ aa.ī
afsūn-e-tamannā se bedār huī āḳhir
kuchh husn meñ be-tābī kuchh ishq meñ zebā.ī
vo mast nigāheñ haiñ yā vajd meñ raqsāñ hai
tasnīm kī lahroñ meñ firdaus kī ra.anā.ī
in madh-bharī ā.ankhoñ meñ kyā sehr 'tabassum' thā
nazroñ meñ mohabbat kī duniyā hī simaT aa.ī
Top Urdushayar.com