kuchh aur gumrahī-e-dil kā raaz kyā hogā
ik ajnabī thā kahīñ rah meñ kho gayā hogā
vo jin kī raat tumhāre hī dam se raushan thī
jo tum vahāñ se ga.e hoge kyā huā hogā
isī ḳhayāl meñ rāteñ ujaḌ ga.iiñ apnī
koī hamārī bhī hālat ko dekhtā hogā
tumhāre dil meñ kahāñ merī yaad kā partav
vo ek halkā sā bādal thā chhaT gayā hogā
vafā na kī na sahī ye bhī yaad hai tujh ko
koī jafā ko bhī tere taras rahā hogā
ġham-e-judā.ī meñ aisī kahāñ thī lazzat-e-dard
unheñ bhī mujh se bichhaḌne kā dukh huā hogā