Sufi Tabassum

gham-nasibon ko kisi ne to pukara hoga

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
ġham-nasīboñ ko kisī ne to pukārā hogā
is bharī bazm meñ koī to hamārā hogā
aaj kis yaad se chamkī tirī chashm-e-pur-nam
jaane ye kis ke muqaddar kā sitārā hogā
jaane ab husn luTā.egā kahāñ daulat-e-dard
jaane ab kis ko ġham-e-ishq kā yaarā hogā
tire chhupne se chhupeñgī na hamārī yādeñ
tū jahāñ hogā vahīñ zikr hamārā hogā
yuuñ judā.ī to gavārā thī ye ma.alūm na thā
tujh se yuuñ mil ke bichhaḌnā bhī gavārā hogā
chhoḌ kar aa.e the jab shahr-e-tamannā ham log
muddatoñ rāh-guzāroñ ne pukārā hogā
ek tūfāñ meñ qarīb aa ga.ī apnī manzil
ham samajhte the bahut duur kinārā hogā
muskurātā hai to ik aah nikal jaatī hai
ye 'tabassum' bhī koī dard kā maarā hogā
Top Urdushayar.com