kyā huā jo sitāre chamakte nahīñ daaġh dil ke farozāñ karo dosto
sub.h-e-ishrat pareshāñ huī so huī shām-e-ġham to na vīrāñ karo dosto
nā-shanāsāoñ kī turfa ġham-ḳhvāriyāñ ġham ke māroñ kā sab se baḌā rog hai
duur ulfat kī chāragarī ho na ho pahle is dukh kā darmāñ karo dosto
tilmilātī raheñ hijr kī kulfateñ jām-o-mīnā kī sar-mastiyāñ kyā huiiñ
ab ye mai bhī ġhamoñ kā mudāvā nahīñ ab koī aur sāmāñ karo dosto
merī ulfat kī sun sun ke rusvā.iyāñ log karte haiñ aapas meñ sargoshiyāñ
tum agar ittifāqan suno chup raho mujh pe ye ek ehsāñ karo dosto