Sufi Tabassum

kisi mein tab-e-alam nahin hai kisi mein soz-e-wafa nahin hai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
kisī meñ tāb-e-alam nahīñ hai kisī meñ soz-e-vafā nahīñ hai
sunā.eñ kis ko hikāyat-e-ġham ki koī dard-āshnā nahīñ hai
ham inqalāb-e-falak ke hāthoñ bahut satā.e hue haiñ yā-rab
ye nāla-e-be-kasī hamārā shikāyat-e-nāravā nahīñ hai
hujūm-e-vāraftagī ke hāthoñ jo jaañ chalī to khulā ye uqda
ki tār-o-paud--eḳhayāl-e-dilbar se rishta-e-jāñ judā nahīñ hai
kal us but-e-bā-vafā se mil kar jo aur betāb ho gayā dil
huā ye zāhir ki ranj-o-ġham kī jahāñ meñ koī davā nahīñ hai
yahī hai ab aarzū 'tabassum' ki dam nikal jaa.e aah karte
ki tāb-e-iz.hār-e-ulfat-e-yār sheva-e-āshnā nahīñ hai
Top Urdushayar.com