Sufi Tabassum

sayon se lipaT rahe the sae

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
sāyoñ se lipaT rahe the saa.e
dil phir bhī fazā meñ jagmagā.e
be-sarfa bhaTak rahī thiiñ rāheñ
ham nūr-e-sahar ko DhūñD laa.e
ye gardish-e-rozgār kyā hai
ham shām-o-sahar ko dekh aa.e
har sub.h tirī nazar kā partav
har shaam tirī bhavoñ ke saa.e
hai fasl-e-bahār kā ye dastūr
jo aa.e chaman meñ muskurā.e
kyā chiiz hai ye fasāna-e-dil
jab kahne lageñ to bhuul jaa.e
tum hī na samajh sake mirī baat
ab kis kī samajh meñ baat aa.e
suunī rahī intizār kī raat
ashkoñ ne bahut diye jalā.e
vo din jo bahār-e-zindagī the
vo din kabhī lauT kar na aa.e
Top Urdushayar.com