Sufi Tabassum

sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
sau baar chaman mahkā sau baar bahār aa.ī
duniyā kī vahī raunaq dil kī vahī tanhā.ī
ik lahza bahe aañsū ik lahza hañsī aa.ī
sīkhe haiñ na.e dil ne andāz-e-shakebā.ī
is mausam-e-gul hī se bahke nahīñ dīvāne
saath abr-e-bahārāñ ke vo zulf bhī lahrā.ī
har dard-e-mohabbat se uljhā hai ġham-e-hastī
kyā kyā hameñ yaad aayā jab bhī tirī aa.ī
charke vo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne
ab hijr bhī tanhā.ī aur vasl bhī tanhā.ī
dekhe haiñ bahut ham ne hañgāme mohabbat ke
āġhāz bhī rusvā.ī anjām bhī rusvā.ī
ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat meñ
dīvāne bhī shaidā.ī farzāne bhī shaidā.ī
Top Urdushayar.com