Sufi Tabassum

zindagi kya hai ek safar ke siwa

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
zindagī kyā hai ik safar ke sivā
ek dushvār rahguzar ke sivā
kyā milā tishna-e-mohabbat ko
ek mahrūm sī nazar ke sivā
ishq ke dard kī davā kyā hai
sab samajhte haiñ chāra-gar ke sivā
kuchh nahīñ ġham-gusārī-e-ahbāb
ehtimām-e-ġham-e-digar ke sivā
kitnī tanhā thiiñ aql kī rāheñ
koī bhī thā na chāra-gar ke sivā
daulat-e-sajda ho sakī na nasīb
aur bhī dar the tere dar ke sivā
kuchh nahīñ hai fusūñ-tarāzī-e-husn
ishq kī shoḳhī-e-nazar ke sivā
Top Urdushayar.com