na bachpan meñ kaho ham ko kaḌī baat
na khulvāo ki chhoTā muñh baḌī baat
suno to gauhar-e-dandāñ kī tārīf
abhī ho jaa.e motī kī laḌī baat
baḌe andher kī taz.īn hai aaj
na hone degī missī kī dhaḌī baat
jahāñ aġhyār un ke paas baiThe
vahīñ bas ho ga.ī koī ghaḌī baat
payām-e-vasl par vo ho ga.e tursh
ġhazab aayā khaTā.ī meñ paḌī baat
ham un se aaj kā shikva kareñge
ukhāḌeñge vo barsoñ kī gaḌī baat
tabī.at un kī hai kuchh ukhḌī ukhḌī
kisī ne phir vahāñ merī juḌī baat
ye kis mizhgāñ kī barchhī kā thā mazkūr
anī ho kar kaleje meñ aḌī baat
'saḳhī' vo yuuñ to boleñge na ham se
kabhī ho jā.egī dhoke-dhaḌī baat