āñkheñ khulī thiiñ sab kī koī dekhtā na thā
apne sivā kisī kā koī āshnā na thā
yuuñ kho gayā thā husn hujūm-e-nigāh meñ
ahl-e-nazar ko apnī nazar kā patā na thā
dhundlā ga.e the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchāntī thī aañkh to dil māntā na thā
tum paas the tumheñ to huī hogī kuchh ḳhabar
itnā to apnā shīsha-e-dil be-sadā na thā
kuchh log the jinheñ ye sa.ādat huī nasīb
varna yahāñ kise sar-e-mehr-o-vafā na thā
har samt ho rahā thā añdheroñ kā azhdahām
shab kaT chukī thī aur saverā huā na thā
kyā kyā frāġhateñ thiiñ 'tabassum' hameñ ki jab
dil par kisī kī yaad kā saaya paḌā na thā