Sufi Tabassum

aise bhi the kuchh haalat

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
aise bhī the kuchh hālāt
dil se chhupā.ī dil kī baat
har ik ne ik baat kahī
koī na samjhā dil kī baat
shām-o-sahar kā naam na thā
aise bhī dekhe din aur raat
ishq kī baazī kyā kahiye
soch samajh kar khaa.ī maat
dil ke hāthoñ ham majbūr
dil kī laaj parā.e haat
husn ke tevar kyā kahne
har lahza ik taaza baat
ashkoñ kā tūfān uThā
ġham meñ Duub ga.ī barsāt
tum bhī zabt karo ham bhī
ishq hai kis ke bas kī baat
sahmī sahmī sī vo nigāh
badle badle se hālāt
bhuul gayā hai sab kuchh dil
yaad aa.ī hai kaun sī baat
ek tabassum ashk-ālūd
bhīgī bhīgī dard kī baat
Top Urdushayar.com