Sufi Tabassum

husn ko jo manzur hua

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
husn ko jo manzūr huā
ishq kā vo maqdūr huā
pardoñ meñ uryāñ thā husn
jalvoñ meñ mastūr huā
jitne ham nazdīk ga.e
itnā hī vo duur huā
kitnī aaseñ TuuT ga.iiñ
kitnā dil ranjūr huā
muḳhtārī kī shaan milī
kyā insāñ majbūr huā
pal bhar kashtī Thahrī thī
barsoñ sāhil duur huā
haq kī bāteñ samjhe kaun
jo samjhā mansūr huā
aag na thī to patthar thā
aag jalī to tuur huā
mil kar aaj 'tabassum' se
kitnā dil masrūr huā
Top Urdushayar.com