Sufi Tabassum

bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
bujhī bujhī sī sitāroñ kī raushnī hai abhī
ye raat kis ke ishāroñ ko DhūñDhtī hai abhī
na jaane merī nazar hī nahīñ hai jalva-shanās
na jaane tere hī jalvoñ meñ kuchh kamī hai abhī
kuchh aise gūñjtī hai dil meñ ahd-e-rafta kī yaad
ki jaise tū ne koī baat mujh se kī hai abhī
kisī ke husn se khelī haiñ umr bhar āñkheñ
ye lag rahā hai nazar se nazar milī hai abhī
hazār qāfile manzil pe jā ke lauT aa.e
mirī nigāh tirī raah DhūñDhtī hai abhī
sambhal to jaa.e tabī.at magar sitam ye hai
ki is ke ba.ad bhī ik aur zindagī hai abhī
Top Urdushayar.com