Sufi Tabassum

har ek naqsh tere panw ka nishan sa hai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
har ek naqsh tire paañv kā nishāñ sā hai
har ek rāhguzar terā āstāñ sā hai
kahīñ simaT ke na rah jaa.e himmat-e-parvāz
ki shāḳh shāḳh pe pinhāñ ik āshiyāñ sā hai
abhī guloñ kī nazar se nazar nahīñ miltī
abhī fazā-e-chaman meñ dhuāñ dhuāñ sā hai
na jaane shauq kī vo raat kaT ga.ī kaise
har ek lamha jahāñ umr-e-jāvedāñ sā hai
ujaḌ ga.ī hai mirī kā.enāt-e-dil phir bhī
mirī nigāh meñ ābād ik jahāñ sā hai
zabāñ pe naam bhī aatā hai terā ruk ruk kar
har ek tār-e-nafas dil kā pāsbāñ sā hai
ye kis ne aaj jagā.ī hai ahd-e-rafta kī yaad
ye kaun dal ke qarīñ aaj nauha-ḳhvāñ sā hai
lage haiñ dil se ubharne vafā ke afsāne
ki apne haal pe phir koī mehrbāñ sā hai
Top Urdushayar.com