vo husn ko jalva-gar kareñge
ārā.ish-e-bām-o-dar kareñge
har goshe meñ hogī ḳhud-numā.ī
har zarre ko rahguzar kareñge
hañs hañs ke kareñge chārasāzī
sāmān-e-dil-o-nazar kareñge
ham bhī sar-e-rāh muntazir haiñ
dekheñ kab idhar nazar kareñge
afsāna-e-ġham tavīl hai dost
is baat ko muḳhtasar kareñge
hai shām-e-firāq saḳht tārīk
is shaam kī ab sahar kareñge
afsurda haiñ zindagī ke tevar
kab tak yūñhī ham basar kareñge
aa.egā 'tabassum' un laboñ par
aañsū bhī kabhī asar kareñge