Sufi Tabassum

nazar mein Dhal ke ubharte hain dil ke afsane

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
nazar meñ Dhal ke ubharte haiñ dil ke afsāne
ye aur baat hai duniyā nazar na pahchāne
vo bazm dekhī hai merī nigāh ne ki jahāñ
baġhair sham.a bhī jalte rahe haiñ parvāne
ye kyā bahār kā joban ye kyā nashāt kā rañg
fasurda mai-kade vaale udaas mai-ḳhāne
mire nadīm tirī chashm-e-iltifāt kī ḳhair
bigaḌ bigaḌ ke sañvarte ga.e haiñ afsāne
ye kis kī chashm-e-fusūñ-sāz kā karishma hai
ki TuuT kar bhī salāmat haiñ dil ke but-ḳhāne
nigāh-e-nāz meñ dil-sozī-e-niyāz kahāñ
ye āshnā-e-nazar haiñ diloñ ke begāne
Top Urdushayar.com