Sufi Tabassum

wo the pahlu mein aur thi chandni raat

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
vo the pahlū meñ aur thī chāñdnī raat
hamārī zindagī thī bas vahī raat
ajab chashmak-zanī thī vasl kī raat
nazar un kī thī aur tāroñ-bharī raat
nigāh-e-mast un kī keh rahī hai
kahīñ hotī rahī sāqī-garī raat
abas hai vāda-e-fardā tumhārā
marīz-e-ishq kī hai āḳhirī raat
kisī ne vāda-e-fardā kiyā hai
hameñ mar kar basar karnī paḌī raat
'tabassum' se kisī ke ban ga.ī thī
mirī ḳhalvat sarāpā chāñdnī raat
Top Urdushayar.com