jab ashk tirī yaad meñ āñkhoñ se Dhale haiñ
tāroñ ke diye sūrat-e-parvāna jale haiñ
sau baar basā.ī hai shab-e-vasl kī jannat
sau baar ġham-e-hijr ke sho.aloñ meñ jale haiñ
har aan umañgoñ ke badalte rahe tevar
har aan mohabbat meñ na.ī raah chale haiñ
mahtāb se chehre the sitāroñ sī nigāheñ
ham log inhī chāñd sitāroñ meñ pale haiñ
noche haiñ kabhī ham ne havādis ke garebāñ
nākāmi-e-koshish pe kabhī haath male haiñ
tārīk fazāoñ ke ubharte rahe tūfāñ
phir bhī tirī yādoñ ke diye ḳhuub jale haiñ
kyā jāniye ye riñd bure haiñ ki bhale haiñ
saaqī kī nigāhoñ ke ishāroñ pe chale haiñ
mahsūs ye hotā hai ki duniyā kī bahāreñ
us gul-kada-e-nāz ke saa.e ke tale haiñ
yūñhī to dil-āvez nahīñ sher-e-'tabassum'
ye naqsh tire husn ke sāñche meñ Dhale haiñ