ḳhāmoshī kalām ho ga.ī hai
kyā husn-e-payām ho ga.ī hai
ab chhoḌ do tazkira vafā kā
ye baat bhī aam ho ga.ī hai
yaad aa.ī sahar ko raat kī baat
ik aan meñ shaam ho ga.ī hai
ab pūchh na chashm-e-shauq kā haal
TuuTā huā jaam ho ga.ī hai
jis shai pe paḌī haiñ terī nazreñ
kyā ālī-maqām ho ga.ī hai
laa.ī hai nasīm kis kā paiġhām
kyuuñ tez-ḳhirām ho ga.ī hai