tirī mahfil meñ soz-e-jāvedānī le ke aayā huuñ
mohabbat kī matā-e-ġhair-fānī le ke aayā huuñ
maiñ aayā huuñ fusūn-e-jazba-e-dil āzmāne ko
nigāh-e-shauq kī jādū-bayānī le ke aayā huuñ
maiñ aayā huuñ sunāne qissa-e-ġham sard aahoñ meñ
Dhalakte āñ.suoñ kī be-zabānī le ke aayā huuñ
maiñ tohfa le ke aayā huuñ tamannāoñ ke phūloñ kā
luTāne ko bahār-e-zindagānī le ke aayā huuñ
bayāñ jis ko kiyā kartī thiiñ merī nā-tavāñ nazreñ
vahī dard-e-mohabbat kī kahānī le ke aayā huuñ
agarche ālam-e-fānī kī har ik chiiz faanī hai
magar meñ huuñ ki ishq-e-jāvedānī le ke aayā huuñ