Sufi Tabassum

hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
hazār gardish-e-shām-o-sahar se guzre haiñ
vo qāfile jo tirī rahguzar se guzre haiñ
abhī havas ko mayassar nahīñ diloñ kā gudāz
abhī ye log maqām-e-nazar se guzre haiñ
har ek naqsh pe thā tere naqsh-e-pā gumāñ
qadam qadam pe tirī rahguzar se guzre haiñ
na jaane kaun sī manzil pe jā ke ruk jaa.eñ
nazar ke qāfile dīvār-o-dar se guzre haiñ
rahīl-e-shauq se larzāñ thā zindagī kā shu.ūr
na jaane kis liye ham be-ḳhabar se guzre haiñ
kuchh aur phail ga.iiñ dard kī kaThin rāheñ
ġham-e-firāq ke maare jidhar se guzre haiñ
jahāñ surūr mayassar thā jaam o mai ke baġhair
vo mai-kade bhī hamārī nazar se guzre haiñ
Top Urdushayar.com