kāvish-e-besh-o-kam kī baat na kar
chhoḌ dām-o-diram kī baat na kar
dekh kyā kar rahe haiñ ahl-e-zamīñ
āsmāñ ke sitam kī baat na kar
apnī āh-o-fuġhāñ ke soz ko dekh
saaz ke zer-o-bam kī baat na kar
yuuñ bhī tūfān-e-ġham hazāroñ haiñ
ishq kī chashm-e-nam kī baat na kar
saḳht uljhī haiñ ziist kī rāheñ
zulf ke pech-o-ḳham kī baat na kar
aaj sūd-o-ziyāñ kā saudā hai
aaj dair-o-haram kī baat na kar
dekh farhād kī tunuk-noshī
vus.at-e-jām-e-jam kī baat na kar
ham ne dekhā hai zarf-e-ahl-e-karam
ham se ahl-e-karam kī baat na kar
shab kī rañgīniyoñ kā zikr na chheḌ
hālat-e-sub.h-dam kī baat na kar
aaj mat chheḌ ġham ke afsāne
aaj ai dost ġham kī baat na kar
chhin na jaa.e tirā tabassum-e-lab
mere dard-o-alam kī baat na kar