vafā kī āḳhirī manzil bhī aa rahī hai qarīb
jo us jagah bhī na tū mil sake to mere nasīb
fuġhān-e-Haqq-o-sadāqat kā marhala hai ajiib
dabe to band-o-salāsil uThe to dār-o-salīb
tire ḳhayāl kā maskan chaman chaman kā safar
mirī vafā kā nasheman faqat dayār-e-habīb
nazar se bach ke mile haiñ vo bārhā mujh ko
hazār baar huā hai ye dil nazar kā raqīb
ulajh na jaa.eñ kahīñ aur dil ke afsāne
kahāñ hadīs-e-mohabbat kahāñ bayān-e-ḳhatīb
na jaane kaun sī shai chashm-e-ġhamgusār meñ thī
ki jis ko dekh ke larzāñ huā hai dast-e-tabīb
abhī fasurda hai saaqī tirā 'tabassum'-e-lab
kisī kī yaad ko le aao mai-kade ke qarīb