Sufi Tabassum

dil ko aae ki nigahon ko yaqin aa jae

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
dil ko aa.e ki nigāhoñ ko yaqīñ aa jaa.e
kisī unvāñ to koī mere qarīñ aa jaa.e
bikhre rahne do sar-e-rāh nishān-e-kaf-e-pā
jaane kis dam koī āvāra-jabīñ aa jaa.e
sunte jaao mirā be-rabt fasāna shāyad
inhī bātoñ meñ koī baat hasīñ aa jaa.e
aur phir is ke sivā sehr-e-mohabbat kyā hai?
yak-ba-yak jaise koī dil ke qarīñ aa jaa.e
jaam kyā chiiz hai mai-ḳhāna uḌaao yāro!
jaane kis dam lab-e-sāqī pe ''nahīñ'' aa jaa.e
vo tirī yaad kā partav ho ki ho sāya-e-zulf
chain aa jaa.e tabī.at ko kahīñ aa jaa.e
Top Urdushayar.com