shajar shajar nigarāñ hai kalī kalī bedār
na jaane kis kī nigāhoñ ko DhūñDtī hai bahār
kabhī fuġhāñ bhī nashāt-o-tarab kā afsāna
kabhī hañsī bhī taḌapte hue diloñ kī pukār
na jaane kis kī nashāt-e-qadam se haiñ mahrūm
ki ek umr se suune paḌe haiñ rāhguzār
hazār haar kisī chashm-e-āshnā ke tufail
ujaḌ ujaḌ ke base haiñ mohabbatoñ ke dayār
ajiib haal hai betābī-e-mohabbat kā
shab-e-visāl kī rāhat meñ DhūñDtī hai qarār
ye barq-e-husn aur us par ye terī ḳhū-e-hijāb
ye sail-e-ishq aur is par nazar nazar kā shumār
hai in kī pursish-e-dard-o-alam meñ bhī pinhāñ
vo ik kasak ki samajhte nahīñ jise ġham-ḳhvār