Sufi Tabassum

uThi hai jo qadmon se wo daman se aDi hai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
uThī hai jo qadmoñ se vo dāman se aḌī hai
kyā kyā nigah-e-shauq pe zanjīr paḌī hai
vo yaas kā aalam hai ki har ek nazar par
mahsūs ye hotā hai judā.ī kī ghaḌī hai
yuuñ dekhiye to marhala-e-shauq hai yak gaam
chaliye to yahī ek qadam raah kaḌī hai
har ek qadam par hai kisī yaad kā saaya
har rāhguzar meñ koī dīvār khaḌī hai
har ġhunche ke chehre se ubharte haiñ tire naqsh
har gul meñ tire husn kī tasvīr juḌī hai
khelī thī kabhī husn se tere nigah-e-shauq
itnā hai tujhe yaad yahī baat baḌī hai
nāseh tirī bātoñ se kaTī hijr kī ye shaam
ik aur fasāna ki abhī raat paḌī hai
kyā jāniye kyā thā tirā andāz-e-'tabassum'
har dekhne vaale kī nazar mujh pe paḌī hai
Top Urdushayar.com