Sufi Tabassum

ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
ye kyā ki ik jahāñ ko karo vaqf-e-iztirāb
ye kyā ki ek dil ko shakībāna kar sako
aisā na ho ye dard bane dard-e-lā-davā
aisā na ho ki tum bhī mudāvā na kar sako
shāyad tumheñ bhī chain na aa.e mire baġhair
shāyad ye baat tum bhī gavārā na kar sako
kyā jaane phir sitam bhī mayassar ho yā na ho
kyā jaane ye karam bhī karo yā na kar sako
allāh kare jahāñ ko mirī yaad bhuul jaa.e
allāh kare ki tum kabhī aisā na kar sako
mere sivā kisī kī na ho tum ko justujū
mere sivā kisī kī tamannā na kar sako
Top Urdushayar.com