Sufi Tabassum

nazar ko haal-e-dil ka tarjuman kahna hi paDta hai

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
nazar ko hāl-e-dil kā tarjumāñ kahnā hī paḌtā hai
ḳhamoshī ko bhī ik tarz-e-bayāñ kahnā hī paḌtā hai
jahāñ har-gām par sajde Tapakte haiñ jabīnoñ se
vahāñ har naqsh-e-pā āstāñ kahnā hī paḌtā hai
jahāñ lab koshish-e-iz.hār-e-matlab ko taraste haiñ
vahāñ har saañs ko ik dāstāñ kahnā hī paḌtā hai
agar qalb-o-nazar meñ vus.ateñ hoñ tere jalvoñ kī
ḳhizāñ ko bhī bahār-e-jāvedāñ kahnā hī paḌtā hai
kahāñ āsūdgī dil kī kahāñ afsurdagī lekin
asīrī-e-qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
ham un se mājrā ai dard-e-dil kahte nahīñ lekin
ba-andāz-e-hadīs-e-dīgarāñ kahnā hī paḌtā hai
Top Urdushayar.com