rasm-e-mehr-o-vafā kī baat kareñ
phir kisī dilrubā kī baat kareñ
saḳht begāna-e-hayāt hai dil
aao us āshnā kī baat kareñ
zulf o ruḳhsār ke tasavvur meñ
husn o nāz-o-adā kī baat kareñ
gesuoñ ke fasāne dohrā.eñ
apne baḳht-e-rasā kī baat kareñ
mudda.ā-e-vafā kise ma.alūm
dil-e-be-mudda.ā kī baat kareñ
kashti-e-dil kā nāḳhudā dil hai
kyuuñ kisī nāḳhudā kī baat kareñ
bhuul jaa.eñ jahāñ ke jaur-o-sitam
apnī mehr-o-vafā kī baat kareñ
ham se āzurda hai tabassum-e-dost
isī husn-e-adā kī baat kareñ