munkir-e-but hai ye jāhil to nahīñ
ghar se vaa.iz kahīñ fāzil to nahīñ
tum na āsān ko āsāñ samho
varna mushkil mirī mushkil to nahīñ
kyā sambhāle mere dil kā lañgar
zulf hai kuchh vo salāsil to nahīñ
aaj maiñ dil ko judā kartā huuñ
dekhiye aap ke qābil to nahīñ
zalzale meñ jo zamīñ aatī hai
ye bhī us shoḳh pe bismil to nahīñ
dard ko gurda taḌapne ko jigar
hijr meñ sab haiñ magar dil to nahīñ
haDDiyāñ khāne ko khātā hai humā
sag-e-jānāñ ke muqābil to nahīñ
bolā vo gul jo sunī aah 'saḳhī'
aisī āvāz-e-anādil to nahīñ